Join me click here
******* IS TARAH NAHIN KRTAY************
Is tarah nahin krtay raabta tu rakhtay hain
Thora milnay julnay ka silsila tu rkhtay hain
Manzilain buland hon tu mushkilain tu ati hain
Mushkilon say larnay ka hosla tu rakhtay hain
Jo tumharay apnay hon tum say pyar krtay hon
Un ka haal kaisa hay kuch pata tu rakhtay hain
Dosti k rishtay ko tortay nahin aisay
Rothay doston say bhi wasta tu rakhtay hain
Chor janay walay aksar lot kr bhi atay hain
Lot kr wo anay ka wasta tu rakhtay hain
