hamesha muskura k ansovon ko chhupaya
gham ko chhupane ka yehi rasta nazar aya
kis kis ko batain behte ashkon ka sabab
k dard-e-dil dil mein kis ne jagaya hai
mehfilon mein kahin bhi maza na raha
rakha dil pey pathar to khud ko sajaya
baat be baat apni aahein dabba kar
yaaron k darmyan kis kadar muskuraya
na thi chah mujhe kabhi munkashi ki
jam wafa kissi bewafa ne pilaya
kya muqadar se shikwa karte rahey
jo kismet mein tha wohi kuch to paya
yeh kis mour par aa gayein hain umeedein
kaye saye manzil nazar mein na aya
apnon ne palat k dekha tak nahin
gairon ne akar galay se lagaya
acha huwa k raaz khul hi gaya
dil naazon pey khanjar kis kis ne chalaya
shab-o-rooz chahat ka silah yehi hai BABOO
dil k tukrey huway wo chun,ne na aya.
Click to join meri_wafain
New Email names for you!
Get the Email name you've always wanted on the new @ymail and @rocketmail.
Hurry before someone else does!
http://mail.promotions.yahoo.com/newdomains/aa/