Shirdi Waale Sai Baba 


 
<http://1.bp.blogspot.com/-KPnqRBCykuo/VESo4JOqrwI/AAAAAAAAFNI/sVuVNUKMq40/s1600/SONG%2BFOR%2BTHE%2BSOUL.jpg>
 

 

 

Taarif Teri Nikali Hai Dil Se Aayi Hai Labpe Banke Qawaali

Shirdi Waale Sai Baba Aayaa Hai Tere Dar Pe Sawaali

Labpe Duwaayen Aankhon Mein Aasu Dil Mein Umeeden Par Jholi Khaali

(Shirdi Waale…)

O Mere Sai Devaa Tere Sab Naam Levaa (2)

Judaa Insaan Saare Sabhi Tujhko Hain Pyaare

Sune Fariyaad Sab Ki Tume Hai Yaad Sab Ki

Badaa Yaa Koyi Chhotaa Nahin Maayoos Lautaa

Ameeron Kaa Sahaaraa Gareebon Kaa Guzaaraa

Teri Rehamat Kaa Kissaa Bayaan Hum Sab Karenge

Do Din Ki Duniyaa Duniyaa Hai Gulshan

Sab Phool Kaaten Tu Sab Ka Maali 

(Shirdi Waale…)

Khudaa Ki Shaan Tujhmein Dhikhe Bhagavan Tujhmein

Tujhe Sab Maante Hain Tera Ghar Jaante Hain

Chale Aate Hain Daude Jo Khush Kismat Hain Thode

Yeh Har Raahi Ki Manzil Yeh Har Kashti Kaa Saahil

Jise Sabne Nikaalaa Use Tune Sambhaalaa (2)

(Solo)  Tu Bichhdon Ko Milaaye Bujhe Deepak Jalaaye (Chorus Twice)

Ye Gam Ki Raaten, Raaten Ye Kaali, Inko Banaaden Id Aur Diwaali 

(Shirdi Waale…)

 

Source: Song 9, Section 3, Hindi Group Songs and Qawallis, Vandana: Students 
Prayer Book <http://saipublications.com/b005_vandana.html> 

-- 

--- 
You received this message because you are subscribed to the Google Groups 
"saimsg" group.
To unsubscribe from this group and stop receiving emails from it, send an email 
to [email protected].
For more options, visit https://groups.google.com/d/optout.

Reply via email to