* MONTH OF RAJAB:-
Muhammad (PBUH) ne farmaya k " rajab ka mahina bara buzurg mahina hai". iss mah main Allah tuba qabool farmata hai.iss mahinay main Allah Pak ki 3 khas inayat hain: 1-Allah ki rehmat 2-Allah ki bakhsish 3-Allah ki naiki(virtu) nafli namazoon ka iss mahinay main 2 gunna ziada savab milta hai. guzishta ummatoon per Allah ne har month main azaab nazil farmain hain lakin rajab main kabhi nahien Nabi(saww) ne farmaya k "* *Rajab Allah ka mahina hai, shaban mera aur ramzan mere ummat ka" Nabi(saww) ne phir ye farmaya k " iss mahinay main aik roza rakhnay ka sawab 1000 rozoon k barabar hota hai , 2 ka 2000 aur 3 ka 3000 , aur jo iss month main 8 rozay rakhay uss kay liye jannat k 8 darvazay khool diya jate hain " jo raj k 3 rozay rakhay ga: uss k aur jahanum k darmayan 1 saal ka fasila ho jaye ga ,aur uss k pehlay gunna maaf kar diye jain gai. 4 rozay: rakhnay se insaan dajal k fitna se mehfoz rahay ga. 5 rozay rajab main ;iss ko qabar k azab se nijaat mil jaye gi 6 rozay; jab momin qabar se niklay ga tu uss ka chera 14 k chand ki tarah chamkay ga 7 rozay;jahannum k 7 darvazay uss per band kar diye jain gai 13 rozay; asa shaks roze qayamat arsh k saya k nichey ho ga 14 rozay; Allah uss ko wo khuch atta kari ga jo na tu uss ne sunna hu,dekha ho aur socha ho 15 rozay; uss k sab gunna , naikioon se badal diye jate hain jo rajab k 16 rozay rakhay ga wo un logoon main shumar ho ga jo sab se pehlay Allah Taalah ko daikain gai. jo rajab k 19 rozay rakhay: uss ko Hazrat Aadam(as) aur hazrat Ibrahim(as) ki nasisht ga k samne aik mahal ata kiya jaye ga aur ye un ko guzarte waqat salam kare ga aur wo iss ko jawab dain gai 30 rozay:jo admi iss mah k 30 rozay rakhay ga uss ko aik aisi buzargi hasil ho gi ,k wo uss ka Allah Paak ka didar naseeb ho ga,,Paigambroon , sadiqoon aur shahidoon k hamrah aur likha hai k roza rakhnay wala agar raat ko 10 duaien bhi mangain ga tu wo qabool hoon gee.. rajab ki 1 ko roza rakhnay ka buhat buhat savab aur fazilet hai phir rajab ki 27 ko rozay ka buaht savab hai rajab main 1,15 aur 27 ki ratoon ko ibadat karne ka buhat savab hai...aur khas kar k 27 tareekh ko iss month k 3 ashroon main 10 rakat nafal nimaz yoon parhtai hain. sura fatiha ka baad har rakat main 3 martaba sura ikhlas ,aur 3 martaba sura kafiroon "qul-ya-iyou-hal-kafiron" nimaz adda karne k bad Allah se dua karoo aur apni hajat bayan karoo (dua kijey ga hum sab k liye )* * * * * -- * فبای الاء ربکما تکذبن.* * * -- You received this message because you are subscribed to the Google Groups "shiagroup" group. To post to this group, send email to [email protected]. To unsubscribe from this group, send email to [email protected]. For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/shiagroup?hl=en.
