quite clear lyrics, except at just one or two places. The story telling - chhed chhaad (naughty) type of style and the freshness and sincerity of voices keep one engrossed.
-- Rawat Yaar Mila Tha ------------- Yaar mila tha saiyaan, ek din, yaar mila tha saiyaan Aankhon mein sapne, dil mein le ke pyaar, mila tha saiyaan Kya main karti saiyaan, daiyaa, kya main karti saiyaan? Teri yaad mein kitni sadiyaan aah bharti saiyaan? Arey kuchh to sharam kar leti, ab kya kahegi duniya Kyun uske sang ho li us peepal ki chhaiyaan Socha nikal loon par pallu wo kheencha zor se Bola sandesa hai laya wo teri or se Haay dil ghaayal zakhmi jiyaa Kaise jiye ab tera piya Maar diya dulhaniya tu ne maar diya dulhaniya Jeetey ji apne saiyaan ko maar diya dulhaniya Yaar mila tha saiyaan, ek din, yaar mila tha saiyaan Hai qusoor kya mera bataa, na yu sataa main Teri raah takti thi, Raah takti thi to khafa ho gayi thi tu ya bewafa Ke panghat pe ghoonghat ke bina ja baithi kaise tu Khud mere bina usi panghat ke ??? pahli baar thaami thi maine teri kalaai harjaai jahaan dhoop se ham bache they jahaan nache they apne qadam, arey besharam wo kalaai tu thamaa ke aai haatho mein na jaane kis khotey ke, kis khotey ke mere hote se, par sote se, o ho ho, ho par tu ne hi to usey bheja na o ho ho, ho ke mera pyaar piya ko de jana o ho ho, o ho, o ho Yaar bulaaya saiyaan, mainne yaar bulaaya saiyaan Bhuli saari duniya jab ik baar bulaaya saiyaan To aa, gale dulhaniya lag ja, aa gale dulhaniya Dekh ke apni yaari duniya laakh jale dulhaniya Yaar bulaaya saiyaan Lag ja, aa gale dulhaniya Bhuli saari duniya Duniya laakh jale dulhaniya Arey wafa ke qissey ab ga rahi hai duniya Har maan kahe bete se la aisi dulhaniya Haay dil ghaayal zakhmi jiyaa Jee bhar jiye ab mera piya

